Posts

16.4.20

Image
Bat un dino ki hai jb mai barhbi ki chhatra thi.ghar ki aarthik sthiti tow shuru se achchi nhi thi.mujhe kavi sammelan me jana tha.bhut ichcha hoti thi ki mere pas bhi ak hath me pahanne ke liye ak ghadi ho.kavi smmelan me jb kvita path kru tow mere hath kavita ko padte samay jb uthe tow sbhi ko usme ghadi dikhana chahiye.pr samajh me nhi aa rha tha kya kru?ghadi kharid tow nhi sakti thi han .man me aaya ki kyo n kisi se ak din ke liye mag lu.yhi sochkr makne apni sakhi saroj chaurasiya se ak din ke liye ghadi magne uske ghar gai.man me bhut dar lag rha tha ki degi ki nhi degi.pr ghadi pahhne ki abhilasha bhut thi so maine usse maine kah hi diya ki kal kavi sammelan hai aur usme mujhe bulaya gya hai abhi bas itna hi kah pai thi ki vh boli abhi aati hu aur ghar ke ander chali gai aur jab bahar aai tow uske hath me ak ghadi thi mai kuch bol pati iske pahle hi vah boli mai tumhare liye lai hu.lo pahan lo kal kavaya sammelan me ise pahankr jrur jana .us din meri khushi ka thikana nhi

Kya khoya aur kya paya

Image
Har isan ke jivan mai ak bar aisa mauka jrur aata hai jab vah yah sochane par majboor ho jata hai ki usne kya khoya aur kya paya.mere hisab se tow maine apne jivan mai apni 15 sal ki beti ke alava kuch nhin paya.jivan mai itni preshaniyan rhin ki vah abhi tak mere sath chal rhin hain.maine pta nhi bidhata ka kya bigada hai ki vah sath hi nhin chhodtin mera.mai koi bhi achcha karya karane ki koshish karti hu. in preshaniyon ki bajay se mujhe kbhi safalta mil hi nhin pati hai . Ye preshaniyan meri safalta ko bifalta mai badal hi detin hain aur is prakar mera jivan ak majak sa bankar rah gya hai.mai yah janti hu ki yh bifalta kb tk sath rhegi kbhi n kbhi to mera sath,mera pichha jarur chhodegi par kab chhodegi yh pata nhin.mai bhi  hu ki har manne bali nhi.dekhna ak din in roti hui aakhon main khushi bale aanshu jarur hoge. M.no.8770202588
Image
Jane vo kaise log hain jo apni isthiti thik hote huye bhi apni garibi batate rahate hain aur nit naye tarikon se logon ko lutate rahte hain.unka pta nhin kaisa jamir hota hai ki unhen aisa karya karne ke liye mana bhi nhin karta hai.aise logon ke pas apna koi svabhiman nhin hota hai.mere hi prichiton mai kai aise log hain jo is karya ko apni aadat mai samil kar liye hain .logon se lete samay unhen yah bhi lagta ki kya pta jo unhen de rha hai uske pas apne alaba hai bhi ki nahin .kahin vh unhen isliye tow nhin de rha hai ki vh unhen pyar krta hai.mera yah manna hai ki insan ko hamesha apni imandari aur maihnat ki hi roti khana chahiye .mai yah bhi janti hu ki aise log kabhi dhani nhin ho pate pr mai yah bhi achchi tarah se janti hu ki aise logon ke pas hamesha sukun hota hai aur kbhi kisi  se apni najron ko churana nhin padta hai .aise log faltu ki chinta mai bhi  nahi padte .such kahu tow aise logon ke bachche aage badte bhi hain aur samaj mai apna ak alag mukam pakr sbhi ko sukhi

Mera jivan bhut sanghash mai bita

Image
Mera name shristi agnihotri hai.mai bachpan se hi kuch hat kr krna chahti thi lekin kbhi mauka hi nhi mila.garibi itni thi ki khane ke sambandh mai bhi sochana padta tha.bhagean ke mandir mai bhakatgan jo paisa chada jate hai  un paison ko mai utha leti thi.jati ki braman thi hi so uthane mai sankoch bhi nhi lgta tha.han kbhi kbhi panditji dekh lete the tow bhut jor se dant lagate the.'marta kya n karta' bali kahavat ko charitarth krte huye mai aaye din panditji ki dant jarur khati thi aur bhagwan ke samane chade huye paise jarur uthati thi.in paison se kabhi mai apne ghar dhaniyan patti karid leti thi tow kbhi dusri bhut hi sasti si sbji.is dhaniyan patti ki chatni se ya sasti wali sbji se hum tino bahine chaval ke sath ya roti ke sath khakr apna jivan badi kbusbi ke satb bitate the.is garibi se kbhi dukhi nahin huye.pitaji the vh farest god the lekin sidhe aur suchche the ki unke betan se vamuskil mahinebhar ka anaj hi aa pata tha.lekin mai har nhi manti thi .jaise taise si

Faisla

Jindgi ke kai faisle aise hote hain jinhe lene mai bhut kathinai ka samna karna pdta hai.man mai ak ajib prakar ka bhay sa bana rhata hai ki ydi mere dvara liya gya yh faisla galat huaa tow iska kya prinam hoga aur shi huaa to sb apne aap hi thik hoga.bar bar dimag isi bat pr jata hai ki yadi galat huaa tow.insan ka yhi sochna ki galat hoga ki sahi hoga uski budhdhi ka prichayak hai isi ko sochne ki shkti kha ja skta hai .uske dvara soch air samajhkr liye gye faisle akshar sahi hi hote hain.jiske lene ke bad  use pachhtana nhi padta hai.isliye bidhata ne use manushya kha hai.
Ye jindgi bhi ajib hoti hai.isse har koi har rup mai pyar krta hai.chahe vh kisi bhi rup mai kyo n ho.ak kutta ko apna jivan bahut hi pyara hota hai baise hi ak hathi ko bhi usi rup me apna jivan se pyar hoga.kutta ,hathi,maindak,billi aur hum insan sbhi ko apne apne jivan se aashim pyar hota hai.koi bhi apne jivan ko aasani se nhin gavana chahta hai.apne jivan ko bachane ke liye vh har muskil kasamna kar leta hai .insan ho ya janwer jb tak usme jan hai vh kisi ke marne se ya kisi bipda se vh bachane ki bharpur koshish krta hai ki vh jivit rahe vh mare nhin.yh sb abhi dekhne ko mil rha hai jb sari duniyan mai corona  vairus faila huaa hai.hr insan koshish kar rha hai ki vh bahr n nikle ,vh kisi se n mile,kisi ke samne n aaye taki uska jivan bacha rhe use kisi bhayanak bimari ka samna n krna pade.jis insan ke kadam kbhi ghar mai jyada der ruk hi nhin pate the vh bhi   rat aur din apne ghar mai hi rhta hai .karn use apne bimar hone aur mar jane ka bhay bana rhta hai.yh bhay hona bhi cha